Hum agar aapse mil nahi pate aisa nahin ke hamein
aap yaad nahi aate,
mana jahan ke sab rishte nibhaye nahi jate,
par jo bas jate hai dil me phir bhulae nahi jate
→ 3 Cheezain zindgi mein 1 bar milti hai,WAALDEN,HUSN or JAWANI
3 Cheezain soch samajh kar uthao,QADAM,
QASAM or QALAM
3 Cheezain soch kar karo,
MOHABBAT, BATEIN or FAISLA
→ Nazar nawaz najaro me ji nahi lagta,
fiza gai to baharo me ji nahi lagta,
na puchh mujse tere gum me kya gujarti hai,
yahi kahunga hazaron me ji nahi lagta
→ Kafi hai husn ko behlane ke liye,
mohabbat karlo dil ko dukhane ke liye,
chahe bhale pade gam se vasta,
ek hum jaisa dost rakhna sab gamo ko bhulane ke liye
→ Fiza par asar hawaon ka hota hai,
mohabbat par asar adaon ka hota hai,
koi aisa hi kisi ka diwana nahi hota,
kuch kasoor to nigahon ka hota hai
→ Pyar ke ujalo me gum ka andhera kyu aata hai,
jisko hum chahte hai wohi kyu rulata hai,
mere khuda agar wo mera naseeb nahi to aise logon se
kyu milata hai
→ Waqt guzrega hum bikhar jayenge,
kaun jane ke hum kidhar jayenge,
hum apki parchayi hain yaad rakhna,
jahan tanhai mili wahan hum nazar ayenge
→ Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko kehkar apna banaya nahi jata
→ Movie titles related to engg students:
exams – socha na tha,
classes – kabhi kabhi,
question papers – na tum jano na hum,
copying – yaarana,
maths2 – asambhav,
maths1 – mission impossible,
environmental sciences – pyar mein kabhi kabhi,
1st semester – kuch to hai,
2nd semester – yeh kya ho raha hai,
distinction – kal ho na ho,
1st class – raju bangaya gentleman,
2nd class – dil mange more
fail – phir milenge
→ Hum wo ishq hain jo dil bankar dhadakte hai,
hum wo khushbo hain jo baho mein mahakte hain,
humse pyar na karna e-zalim hum vo dard hain jo ankho
se chalakte hain
→ Apne pyar ko chupana chaha par chupa na sake,
diwane dil pe kabu hum pa na sake,
aaj itne karib se gujar gaye wo,
phir bhi unka hath hum tham na sake
→ Ikrar may shabdo ki ahmiyat nai hoti,
dil ke jazbat ki awaz nai hoti,
ankhen bayan kar deti hai dil ki dastan,
mohabbat lafzo ki mohtaz nai hoti
→ Gam ki aahat na aaye tere dar par,
pyar ke samander ka tum bhi ek kinara ho,
bhool se jo tapke teri aankhon say moti,
thame wohi jo tumhe sabse pyara ho
→ Mohabbat me sath to harpal hota he,
koi dikhne se hota he to koi dilse hota hai,
maza to sath tab aye yaro,
jab judai ka lamha mahsus hota hai
→ Socha tha na karenge kisi se dosti,
na karenge kisi se vaada,
par kya kare dost mila itna pyara ki karna pada dosti
ka vaada
→ Kab unki palkon se izhaar hoga,
dil ke kisi kone mein hamare liye pyar hoga,
guzar rahi hai raat unki yaad mein,
kabhi to unko bhi hamara intezar hoga
→ Nazroo se jab nazar ka takrar hota hai,
har mod par kissi ka intezaar hota hai,
dil rota hai zakham haste hai,
isi ka naam to pyaar hota hai
→ Unhone dekha aur aansu gir pade,
bhari basant mein jaise phool bikhar pade,
dukh woh nahin ki unhone hume alvida kaha,
dukh to ye he ki uske bad wo khud ro pade
→ Mana ye waqt hame yaad karne wala nahi,
par bewaqt he yaad karliya karo,
mana aapke aspas sari duniya hai,
kabhi hamari kamika bhi ehsas karliya karo
→ Nashili aankho se wo jab hamein dekhte hain,
hum ghabraakar ankhen jhuka leite hain,
kaun milaye unn ankhon se ankhen,
suna hai wo ankho se apna bana leite hai
→ Chandni raat main jab sara jahan sota hai kisi ki
yaad main koi badnaseeb rota hai,
khuda kisi ko pyar pe fida na kare aur kare to juda
nakare
→ Har pal muskurana zindagi hai,
muskurakar gam bhulana zindagi hai,
jeet kar muskurana bhi kya muskurana hai,
haar kar muskurana zindagi hai
→ Samja do apni yado ko,
wo bin bulaye pas aaya karti hai,
aap to dur rehkar satate ho magar,
wo pas aakar rulaya karti hai
→ Waqt guzarta raha par sanse thami si thi,
muskura rahe the hum,
par ankho me nami si thi,
saath hamare ye jahan tha sara,
par na jaane kyu tumhari kami si thi
→ Kyu dil ke mere tukde kar diye,
kyu mere aansu ko apni muskan se baha diye,
gunah kya tha mera bus chahna tumhe,
kyu meri zindagi me tune dard bhardiye
→ Phool se pehle khusboo ko to dekho,
karne se pehle kaam ko to dekho,
kisike roop mein diwana naa bano,
surat se pehle uske dil ko to dekho
→ Sms karenge hum ek duje ko bari bari,
hame lagti hai ye rasam badi pyari,
ye sms milte hi ek sms bhej dena,
kyunki hame bilkul pasand nahi udhari
→ Kisi na kisi pe kisi ko aetbar ho jata hai,
ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,
khubiyo se nahi hoti mohabbat bhi sadaa,
khamiyo se bhi aksar pyaar ho jata hai
→ Dosti gazal hai gane ke liye,
dosti nagma hai sunane ke liye,
ye wo jazba hai jo sabko nahi milta,
kyonki aap jaisa chahiye nibhane ke liye
→ Zindagi hai nadan isiliye chup hoon,
dard hi dard subah shaam isiliye chup hoon,
keh du zamane se dastan apni,
usme aayega tera naam isiliye chup hoon
→ Hoth keh nahi sakte jo fasana dil ka,
shayad nazron se vo baat ho jaye,
is ummid se karte hain intezar raat ka,
ke shayad sapne me mulakat ho jaye
→ Sehmi si nigaho mein khwab hum jaga denge,
sooni in raho pe phool hum khila denge,
humare sang muskura ke to dekhiye,
hum aapke har gum bhula denge
→ Kaise kehde ki unse milne ki chahat nahi,
bekarar dil ko ab bhi rahat nahi,
bhula dete unhe bhi magar kya kare dost,
kisi ko bhulane ki is dil ko aadat nahi
→ Mana aaj unhe hamara koi khayal nahi,
jawab dene ko hum razi he par koi sawal nahi,
pucho unke dil se kya hum unke yaar nahi,
kya hamse milne ko wo bekarar nahi
→ Bolti hai dosti chup rehta hai pyar,
hasati hai dosti rulaata hai pyar,
milati hai dosti judaa karta hai pyar,
phir bhi kyun dosti chodkar log karte hai pyar
→ Aap to manzil ko mushkil samajte he hum aap ko
manzil samajte he,
bada fark he apke or hamare nazariye me
aap hume sapna or hum aap ko apna samajte hai
→ Wife: kaash main newspaper hoti dinbhar tumhare
hathon me rehti
Hus: meri bhi yahi dua hai rab se issi bahane her din
nayi nayi to milti
→ Leke hum dusro ki hasi kya kare,
jo apni nahi wo khushi kya kare,
tanha jine se behatar hai mar jaye hum,
jab saath tum nahi to zindagi jikar kya kare
→ Phool bankar muskurana zindagi hai,
muskurake gum bhulana zindagi hai,
milkar log khush hote hai to kya hua,
bina mile dosti nibhana bhi zindagi hai
→ Happy moments praise allah,
difficult moments seek allah,
quiet moments worship allah,
painful moments trust allah,
every moments thank allah
→ Ae khuda dua ye meri khali na jaye ke mere dost ki
palkon main kabhi aansu na aaye,
aansu nikle to khushi ke nikle gum ke aansu mere hisse
me aa jaye
→ Tumhari yaadon ki mehek in hawaon mein hai,
pyar hi pyar hi bikhra in fizao mein hai,
aisa na ho ki duriya dard ban jaye,
ab to aapke msg ka intezaar niaghon mein hai
→ Mohabbat ko mohabbat ka ishara yaad rehata hai,
har pyar ko apna pyar yaad rehta hai,
wo pal jo yaar ki baho me guzarta hai,
maut tak vo nazara yaad rehta hai
→ Panchi keh rahe hai ki hum chaman chod denge,
aur sitare keh rahe hai ki hum gagan chod denge,
agar tere ishq mein mai mar bhi jau ae sanam,
tum dilse pukar lena hum kafan chod denge
→ Aansu aa jate hain aankhon mein,
par labon pe hasi lani padti hai,
yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaro,
jisse karte ho usi se chupani padti hai
→ Kyun kisi ki khamoshi mujhe khamosh kar jaati hai,
kyun uski udaasi muje udaas kar jaati hai,
kya rishta hai uska mera jo mujhe uski yaad har pal aa
jaati hai
→ Jab koi khayal dilse takarata hai dil na chahkar
bhi khamosh reh jata hai,
koi sab kuch kehkar pyar jatata hai toh koi kuch na
kehkar bhi pyar nibhata hai
→ Reth pe likhna to adat hai hamari isiliye toh sagar
se dushmani hai hamari,
chahe wo lakh bar apka nam mitaye, apko bhulana taqdir
nahi hamari
→ Lamhe ye sunhere kal sath ho na ho,
kal me aaj jaisi baat ho na ho,
yaadon ke hasin lamhe dil me rehenge,
tamaam umar chahe mulaqat ho na ho
→ Mere alfazon ko juth mat samajna,
yaad aati hai bahut jaldi milne ki dua karna,
ji raha tha tumhare naam par mar jau toh bewafa mat
samajna
→ Lehar ati hai kinare se palat jati hai,
yad ati hai dil me simat jati hai,
faraq itna hai ki lehar bewaqt ati hai,
aur aap ki yaad har waqt ati hai
→ Rab se aapki khushi mangte hain,
duaon me aapki hansi mangte hain,
sochte hain kya mangen aapse chalo aapki umar bhar ki
dosti mangte hain
→ Nazre na hoti to nazara na hota,
duniya main hasino ka guzara na hota,
hamse yeh mat kaho ke dil lagana chhod de,
jaake khuda se kaho hasino ko banana chhod de
→ Best day aaj, best gift zindagi,
best eahsaas khushi,
best feeling pyar,
best relationship dosti,
best person hum,
best friend tum hum tum
→ Khuda se thoda rahem kharid lete,
aap ke zakhmo ka marhar kharid lete,
agar kahin kabhi bikti khushiyan meri,
to saari bechkar aapka har gam kharid lete
→ Na chaho kisi ko itna ki chahat aapki majburi ban
jaye,
chaho kisi ko itna aapka pyaar uske liye jaruri ban
jaye
→ Gham ne hasne na diya,
zamane ne rone na diya,
is uljhano ne jine na diya,
thak ke jab sitaron se panah li,
neend aayi tho aapki yaad ne sone na diya
→ Har ek se achi baat karna FITRAT hai hamari,
har ek khush rahe ye HASRAT hai hamari,
koi hum ko yaad kare ya na kare,
har ek ko yaad karna aadat hai hamari
→ Yaadon mein hum rahein ye ehsaas rakhna,
nazron se door sahi dil ke paas rakhna,
ye nahi kehte ke sath raho dur sahi par yaad rakhna
→ Fasle mita kar aapas me pyar rakhna,
dosti ka ye rishta hamesha yunhi barkarar rakhna,
bichad jaye kabhi aap se hum,
aankhon me hamesha hamara intejar rakhna
→ Hamne zindagi ki shurarat S se ki,
s se suraj, s se subah, s se swagat, s se saaz, s se
sangeet par phir s se samay ne aisi karwat badli ke
s se hamari shaadi ho gai, aur fir jeewan ka arth
saas, sasur, saala, saali, sasural or sankat ho gaya
to hamne s se sharab pi ne lage, so beaware of s
→ Zindagi mein hamesha SMART log milenge,
kahi zyada to kahi kum milenge,
choice zara sochke karna,
zaroori nahi har jagah tumhe hum jaise milenge
→ Sabse loving kaun: TUM,
sabse sweet kaun: TUM,
sabse cute kaun: TUM,
in sab me TUM se zyada kaun: HUM
lekin duniya me sabse acche dost kaun: HUM TUM
→ Nighahe nighago se milakar to dekho,
naye logo se rishta banakar to dekho,
hasrate dil me dabane se kya faida,
apne hoton ko hilakar to dekho,
asmaan simat jayega tumhare agosh me,
chahat ki bahen failakar to dekho
→ Tum kya jano kya hai tanhai is tute hue patte se
pucho kya hai judai,
yu bewafa ka ilzam na de zalim,
is waqt se puch kis waqt teri yaad na aayi
→ Bathmeez
Chaddar ki KAMEEZ,
Lohe ka PAIJAMA,
Bandar tera MAMA,
Billi teri MAUSI,
Kutte mera YAAR,
Aam ka AACHAR
Miss u mere YAAR
→ Aap ka ashiyana dil mein basaya hai,
apki yado ko sine se lagaya hai,
pata nahi yaad apki hi kyo aati hai,
dost to hamne auro ko bhi banaya hai
→ Wo laut aayega teri zindagi mein,
jiska intzaar tujhe aaj bhi hai,
maana waqt ne ki hai bewafai tujhse lekin meri duaon
me asar aaj bhi hai
→ Ruthne ka haq aap rakhte hai manane ki chahat hum
rakhte hai,
aapke hoton pe muskurahat yu hi bani rahe yehi dua rab
se hum roz karte hai
→ Kiss is not like nokia just connecting people,
not like nike just do it,
not like pepsi yeh dil mange more,
but kiss is like lays no one can eat just one
→ Kaash dil ki awaaz me itna asar ho jaye ki hum jise
yaad kare use khabar ho jaye
rab se yahi dua hai meri ki aap jise chahe woh aap ka
humsafar ho jaye
→ Kafi hai husn dil ko behlane ke liye,
mohabbat karlo dil ko dukhane ke liye,
chahe bhale pade gam se vasta,
ek hum jaisa dost rakhna sab gamo ko bhulane ke liye
→ Anjane me hum apna dil gawa baithe is pyar me kaisa
dhoka kar baithe
unse kya gila kare bhool hamari hi hai jo bina dil
walon se dil laga baithe
→ Har khushi dil ke karib nahi hoti,
zindagi gamo se dur nahi hoti,
ae dost is dosti ko sanjokar rakhna,
aisi dosti har kisi ko nasib nahi hoti
→ Hum mitti ka aashiyana banate gaye,
bana bana kar unhe mitate gaye,
hume koi na apna bana saka,
hum har kisi ko apna banate gaye
→ Kaun hai jo manzil se door nahin,
kaun hai jo zindagi se majboor nahin,
gunaah to sabhi karte hain,
humari nazar mein to khuda bhi bekasoor nahin
→ Hum nibhayenge dosti marte dum tak,
hum hasayenge tumko gham se khushi tak,
aye dost kabhi humse naraz na hona,
saath rehna hamare akhiri dum tak
→ Jab se tumhe jana hai,
jab se tumhe paaya hai,
har dua mein tera naam aaya hai,
taaki poochhu rab se ki yeh kaisa namoona banaya hai
→ Ret pe naam kabhi likhte nahi,
ret pe naam kabhi tikte nahi,
log kehte hai ki hum patthar dil hain,
lekin pattharo pe likhe naam kabhi mit te nahin
→ Aankhon me rahne walo ko yaad nahi karte,
dil me rehne walo ki baat nahi karte,
hamari to ruh me bus gaye hain aap,
tabhi to hum milne ki fariyaad nahi karte
→ Phool bankar muskurana zindagi hai,
muskurake gum bhulana zindagi hai,
milkar log khush hote hai to kya hua,
bina mile dosti nibhana bhi zindagi hai
→ Tujse dosti karne ka hisab na aya,
mere kisi bhi sawal ka jawab na aya,
hum to jagte rahe tere hi khayalo me,
aur tujhe so kar bhi hamara khawab na aya
→ Jakham aisa diya ki koi dawa kaam na aayi,
aag aise lagayi ki paani se bhi bhuj na payi,
aaj bhi rote hai unki yaad main,
jinhe hamari yaad hamare guzar jane par bhi na aayi
→ Bhool jane ka hounsla na hua,
door rah kar bhi wo juda na hua,
unse mil kar kisi aur se kya milte,
koi dusra unke jaisa na hua
→ Kaanch chube to nishan reh jaata hai,
dil tute to armaan reh jaata hai,
laga to deta hai waqt marham is dil par,
phir bhi umra bhar ek zakhm reh jata hai
→ Log phoolon se mohabbat karte hai,
kaaton ko kisne yaad kiya,
hum kaaton se mohabbat karte hai,
kyunki phool ne hume barbaad kiya
No comments:
Post a Comment